Raat ko jab palke mili to sab kuch suhana tha
Aankh jab khuli tab kuch bhi pehchana na tha
Sapno main khoya to har koi apna tha
Bahar nikal ke dekha to main keval tanha tha
Raat ki haseen chandni main khuda ka bhi saath tha
Suraj ka jab uday hua to khudka saath bhi nahi tha
Neend ki mithi ahat main begana bhi apnasa tha
Khwabon se bahar nikla to apna bhi paas na tha.
No comments:
Post a Comment