Friday, 25 January 2013

badalne ka waqt hai



Bahut der tak so chuke, ab jagne ka waqt hai,
Apne desh ki raksha main jaan lutaane waqt hai.
Insaniyat bhulanewale ko mitane ka waqt hai
Gunehgaro ko unke kiye ki sajah dene ka waqt hai
Desh ke liye kaam kare aise neta chunne ka waqt hai,
Adhikar ka gairfayda uthanewale  ko nikal dene ka waqt hai
Bhediye jaise rajkarnio ko maar dalne ka waqt hai

Dil main deshbhakti ki aag lagane ka waqt hai
Desh ke samvidhan par amal karne ka waqt hai
Ye desh mera hai wo bhaav jagane ka waqt hai
Hindustan ka ek naya chitra banane ka waqt hai
Mulk hi apna mazhab hai wo soch laneka ka waqt hai
Zindagi desh ke naam kar jane ka waqt hai
Karz desh ki mitti ka chukane ka waqt hai

-SAMIT SHAH

No comments:

Post a Comment