Wednesday, 24 June 2015

tere bin

tere bin lage na jiya ,mera tere bin
raate kati tare gin gin tere bin

raat bhar karvate badalta reh gaya
jab tanha akela ho gaya main tere bin

har lamha teri yaad mujhe sataye
ab kaise kaatu ek ek pal tere bin

aankhein nam hai, lafz gumsum hai
kaise lab pe muskaan laaun tere bin

tu meri dhadkan aur tu hi meri jaan hai
ab tu hi bata de kaise jiye samit tere bin

No comments:

Post a Comment