Wednesday, 22 July 2015

Akhri Alfaaz

Jo main keh na saka lafzon se,
Woh kalam se zaaya main karta hun;
Aap sab mujhe bahut yaad aaoge,
Ye dilse bayaan main karta hun.

Duniya ki sab adchanein, musibaton se.
Surakshit mehsus main karta hun;
Aur kuch nahi to aapke saath,
Khudko zinda mehsus main karta hun.

Koi mere saath hai is khayal se,
Gham ko bhulaya main karta hun;
Apni saari galtiyon ke liye dilse,
Michchami Dukkadam main karta hun.

Aashru ko dil main chupakar meethi muskaan se,
Waqt-e-Ruksat Alvida main karta hun;
Aap jaisa dost har kisiko mile,
Dil ki baat main karta hun.

Takdir aur kismet ke thode se saath se,
Waapis aane ka waada main karta hun;
Ye guzra hua saal jaldi aa jaye wapis;
Bas yehi dua SAMIT main karta hun.

-SAMIT SHAH