Wednesday, 21 August 2013

MAA



Prem ne dosti na badha rishta main joya che..
Jyare azmaya to ek chodi badha matlabi main paya che

Kalam pakdi ne aje jyare ek chabi ghadva betho chu
 A anokha prem ni murtisami MAA ne varnava betho chu.

Jeevan bhar jena prem ni avagan na kari, tras rupi samjyo chu
Tara thi door gaya pachi MAA hun tari kimmat samjyo chu

Jeni vaat sambhli gusso kari, chanchedato to hun,
Aje aj maa no avaj sambhlva tadpi uthu chu hun.

Laakh taru dil dubhavi, pok  muki ne radai che ,
Maa a maa bija badha vagda na, a vaat aje samjai che

Mitro ne kimmati samji tari jarurato ne bhulyo chu..
Aje badhu bhuli maa hun tari hunf ne jhankhyo chu.

Bahukimati maa ne bhuli ne moh maya ma sapdayo chu,
Aje ansuo ne ankh ma lai, tara sneh ne hun samjayo chu.

.




Monday, 19 August 2013

na jane

Khud par bahut guroor tha
Swabhibhan ka ek suroor tha
Dil ka raja kaise ban gaya
Paiso ka ghulam na jane.

Ghum main bhi muskaan thi
Dukh main bhi hasin thi
Dard ka jashn kab ban gaya
Khushiyon ka matam na jane.

Doston ki bhi ek mehfil thi
Saath rehne ki manzil thi
Baag ki hariyali kab ban gayi
Dasht ka virana na jane

Sir pe tha apno ka saaya
Dil main tha aashiyana hamara
Apno ka pyar kab ban gaya
Gairon se bhi paraya na jane.

Dil ka kona bhi be charaagh tha
Ankhon ke samne rangineeyat ka samah tha
Din ka ujala kab ban gaya
Raat ka andhera na jAne

Dil main mohabbat ka shor tha
Ek jaise taaza hava ka jhonka tha
Dil main uthi leher kab ban gayi
Nafrat ki jwala na jane

Wo lamha Phir se jeena hai

Yaad hai wo suhane pal
Door the jahan ke gham
Wo lamha phir se jeena hai

Yaad hai wo school ke din
Ghamon ko jo lete chin
Wo lamha phir se jeena hai

Yaad hai wo chutiyon ke mausam
Jab hoti hai khushiyon ki sargam
Wo lamha phir se jeena hai

Yaad hai wo ghumne ke din
Raatein thi choti lambein the din
Wo lamha phir se jeena hai

Yaad hai wo zindagi ke pal
Jo yaad aate hai pal pal
Wo lamha phir se jeena hai



Tuesday, 6 August 2013

Chupke Chupke Raat Din



Chupke chupke raat din Bahar ghumna yaad hai,
Hum ko ab tak jalso wala wo zamana yaad hai,,


12 baje phone karke mujhe uthana,
Aur raat ko sath rehne ki zidd karna,
 1 baje diwar kudne par mujhe majboor karna,
Aur raat bhar masti karte hua taash khelna yaad hai..
Hum ko ab tak jalso vala wo zamana yaad hai,,

Sports club main fake entry karke jaana,
Aur ghanto tak vahan pe T.T khelna,
Unorthodox SAFI aur SAMIT ka jeetna,
Aur baad main aaram se nashata karna yaad hai.
Hum ko ab tak jalso vala wo zamana yaad hai,,

Uttarayan main din bhar saath main patang udana,
Navratri ke pure 9 din jhoom jhoom k garba karna,
Aur late night bahar choice main dinner lena,
Aur doosre din subah college jaana yaad hai,.
Hum ko ab tak jalso vala wo zamana yaad hai,,



B'day par der raat ko wish karne jaana,
Aur usko dil kholkar marna pitna
Usse sar se paav tak ganda karna,
Aur wahi haal main party dene le jana yaad hain,
Hum ko ab tak jalso vala wo zamana yaad hai,,



Likhta rahu par khatam na hone paaye,
Aisi kitni yaadein mujhe yaad hai,
Ab to Sabkuch piche chutt gaya,
Bas ab to reh gai to bas keval yaad hai..
Hum ko ab tak jalso vala wo zamana yaad hai,,

Chupke chupke raat din Bahar ghumna yaad hai,
Hum ko ab tak jalso vala wo zamana yaad hai,,